Thursday, May 8, 2008

" Kaash... "

kaash meri jindagi bhi
paani ki tarah hoti
jisme dhaalo
ussi mai dhaal jaati

mera naa koi nisha hota
naa hi koi meri parchai hoti
hawa ke saath chalna
aur ruk jana hi meri kismat hoti

jindagi ki daud dhoop se
mera naa ko sarokar hota
bas bahna aur bahte chale jana hi
meri jindagi ki umeed hoti

kaash meri jindagi bhi
paani ki tarah hoti …….

By : Gagan

Date : Jan-17th-08

No comments:

Post a Comment